Sunday, December 30, 2007

Safar Ye Zindagi ka

me chala me chala
har ek din, har ek gadi
samasyonko suljathe huwe
rastonko paar karthe huwe
Musafir me chalta raha

kahin door chala
koi manzil na soch ke chala
har ek samasyaa ki jawaab hai
har ek jawab ke aage ek aur samasyaa hai

me jo dhoondhoon wo kisi ke paas nahi
me jo maangoon usse mujhe koi faida nahi
ye daud nahi hai mere jindagi ka daud
is safar ki manzil nahi hai mera manzil

samjhana isse aasaan nahi
samajh jao to bhi kuch asar nahi
koshish bhi mat kar, koi nahi
mujhe jhelne do, aur koi raasta nahi

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

<< Home